Teri Mehar Ka Kya Hai Bharosa
#BhaktiGaane#KrishnaSong #DevotionalSongs
Title : Teri Mehar Ka Kya Hai Bharosa
Album Name: Teri Mehar Ka Kya Hai Bharosa
Lyrics Written By:KUMAR VISHU
Singer Name: KUMAR VISHU
Publishing Year: 2020
Music Lenth: 9:32
Size:13 MB
Songs Info :There are very beautiful bhajans that will hear you become disturbed, many such Bhajans are available in Bhaktigaane, listen to yourself and also tell others and share them together to help us
Teri Mehar Ka Kya Hai Bharosa
Kab Kis Per Ye Ho Jaye
#Singer – Kumar Vishu
Teri Mehar Ka Kya Hai Bharosa
Kab Kis Per Ye Ho Jaye
Issi Aash Mein Hum Bhi Baithe
Shayad Hum Per Ho Jaye
Jis Per Teri Mehar Ho Gayi
Vo Bhav Sagar Paar Hua
Chaahe Jitne Paap Kiye Ho
Uska To Uddhar Hua
Giddh Azamil Ganika Jaise
Teri Mehar Se Tar Paaye
Teri Mehar Ka Kya Hai Bharosa
Kab Kis Per Ye Ho Jaye
Dhruv Prahalad Pe Kripa Hue To
Nit Tera Gun Gaan Kiya
Chaahe Jitni Aafat Aayi
Fir Bhi Tera Naam Liya
Meera Hogayi Shyam Deewani
Shyam Shyam Hi Man Bhaaye
Teri Mehar Ka Kya Hai Bharosa
Kab Kis Per Ye Ho Jaye
Shri Charno Ki Seva Dekar
Hey Malik Kalyan Karo
Soona Soona Dil Ka Aagan
Aakar Dil Mein Vaas Karo
Soone Dil Ke Dard Ko Samjho
Kaahe Itna Tarsaye
Teri Mehar Ka Kya Hai Bharosa
Kab Kis Per Ye Ho Jaye
Janmo Ka Hai Saath Hamara
Bahut Hua Ab Maaf Karo
Karke Ek Nazar Man Mohan
Apno Se Kuchh Baat Karo
Nandu Kab Tak Mehar Naa Hogi
Dekhe Kab Tak Thukaraye
Teri Mehar Ka Kya Hai Bharosa
Kab Kis Per Ye Ho Jaye
Issi Aas Mein Hum Bhi Baithe
Shayad Hum Per Ho Jaye
Teri Mehar Ka Kya Hai Bharosa
Kab Kis Per Ye Ho Jaye