श्री हनुमान स्तवन हनुमान भजन Shri Hanuman Stavan Hanuman Hindi Bhajan Lyrics

श्री हनुमान स्तवन हनुमान हिंदी भजन लिरिक्स



Download :MP3 | MP4 | M4R iPhone

Shri Hanuman Stavan Hanuman Hindi Bhajan Lyrics -HD Video Download



Pranavau Pawan-Kumar Khal Ban Paavak Gyaan Ghan
Jaasu Hridaya Aagaar Basahin Ram Sar Chaap Dhar
Main Pawan Kumar Hanuman Ko Pranaam Karta Hoon.
Ve Dushton Ko Van Ke Dawa Nal Ki Tarah Jala Daalte Hain
Aur Gyaan Ki Megh Roopi Varsha Karte Hain. Unke Mann Mandir
Mein Shri Ramchandra Ji Dhanush Baan Sahit Nivas Karte Hain
Atulita Bala-Dhaamam Hema-Shailaabh-Deham

Danuja-Vana-Krishaanum Gyaaninaam-Agraganyam
Sakal-Guna Nidhaanam Vanaraanaam-Adheesham
Raghupati-Priya-Bhaktam Vaata-Jaatam Namaami
Shri Hanuman Ji Atulneeya Shakti Ke Bhandaar Hain
Swarn Parvat Ki Kaanti Ke Samaan Unka Shareer Deep
Kimaan Hai, Ve Danav Roopi Van Mein Dawa Nal Tull Hai Aur
Gyaaniyon Ke Agragan Hai, Ve Samast Guno Ke Bhandar Hain Aur Vaanaron Ke Senapati Hain,
Ve Shri Ram Ke Pyare Bhakt Hain Aur Vayu Ke Putra Hain.
Aise Hanuman Ji Ko Main Pranaam Karta Hoon.

Goshpadee-Krita-Vaareesham Mashakee-Krita-Raakshasam
Raamaayana-Maha-Mala-Ratnam Vande Nilaatmajam I

Shri Hanuman Ji Ne Samudra Ko Gau Ke Padchin Ke Bhaanti Paar Kiya,
Aur Rakshason Ko Maccharon Ki Tarah Masal Diya
Ve Ramayan Ki Patron Ki Mahamala Mein Ratna Ke Tull Hain.
Aise Vayu Ke Putra Shri Hanuman Ji Ko Main Pranaam Karta Hoon

Anjana-Nandanam Veeram Jaanaki-Shoka-Nashanam
Kapeesham Aksha-Hantaram, Vande Lanka-Bhayam-Karam II

Mata Anjani Ke Putra, Sita Mata Ke Shok Ko Dur Karne Waale,
Akshay Kumar Ka Sanghaar Karne Waale,
Lankapuri Ke Liye Bhayankar Mahavir Shri Hanuman Ji Ko Main Pranaam Karta Hoon

Ullanghya Sindhoh Salilam Salilam; Yah Shoka-Vahnim Janaka-Aatmajaayah
Aadaaya Tenaiva Dadaah Lankaam; Namaami Tam Praanjalir-Aanjaneyam
Shri Hanuman Ji Ne Kreeda Karte Huye, Samudra Ke Jal Ko Paar Kar Liya,
Aur Shok Vihval Janak Nandani Sita Ji Ke Shok Ki Aag Lekar Lanka Puri Ka Dehen Kia.
Anjani Mata Ke Aise Putra, Shri Hanuman Ji Ko Main Karbaddha Pranaam Karta Hoon.

Manojavam Maaruta-Tulya-Vegam; Jitendriyam Buddhimataam Varishtham
Vaataatmajam Vaanar Yutha Mukhyam, Shri Raamdootam Sharanam Prapadye
Shri Hanuman Ji Mann Ki Mati Chalne Waale Hain, Pawan Ke Samaan Unka Vaig Hai,
Unhone Indriyon Ko Jeet Liya Hai, Buddhimaan Vyaktiyon Mein Sarvasreshth Hain,
Ve Pawan Ke Putra Hain, Vaanar Sena Ke Nayak Hai, Bhagwan Shri Ram Ke Doot Hai,
Main Unhi Ke Sharan Mein Aaya Hoon

Aanjaneyam Ati-Paatala-Aananam, Kaanchanaadri-Kamaneeya Vigraham
Paarijaata-Taru-Moola-Vaasinam; Bhaavayaami Pavamaana-Nandanam
Anjani Mata Ke Putra, Shri Hanuman Ji Ka Mukh, Gulab Ke Tulya Rakht Varn,
Shareer Sone Ke Samaan Sundar Swaroop Hai, Ve Kalpavruksh Ki
Jadd Mein Nivaas Karte Hain, Aise Pawan Putra Ka Main Dhyaan Karta Hoon

Yatra Yatra Raghu-Naatha Kirtanaṃ Tatra Tatra Kṛita-Mastaka-Anjalim
Vaṣhpa-Vaari-Pari-Purna-Lochanaṃ Marutiṃ Namata Rakshasamtakam
Jahan Jahan Raghunaath Ka Keertan Hota Hai, Wahan Wahan Par Hanuman Ji
Mastak Par Anjali Baandhe Huye Pranaam Ki Mudra Mein Upastith Rehte Hain.
Katha Sunte Huye Unke Netra Ashwapurna Rehte Hain,
Rakshason Ka Sanghaar Karne Waale
Aise Pawan Putra Ko Main Pranaam Karta Hoon,
Main Pranaam Karta Hoon, Main Pranaam Karta Hoon

Shri Hanuman Stavan Hanuman Hindi Bhajan Lyrics -HD Video

For Free Download Click Here Shri Hanuman Stavan Hanuman Hindi Bhajan Lyrics Download

Shri Hanuman Stavan Hanuman Hindi Bhajan Lyrics

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *