राम आये हैं अयोध्या राम भजन Ram Aaye Hain Ayodhya Ram Hindi Bhajan Lyrics

Ram Aaye Hain Ayodhya Ram Hindi Bhajan Lyrics

राम आये हैं अयोध्या राम हिंदी भजन लिरिक्स

#BhaktiGaane #GaneshjiBhajan #DevotionalSongs #HindiBhajan #Bhajanindia #india #BhajanDownload #HindiSongslurics #HindiBhajanMp3 #BhajanGanga #BhajanAarti #BhajanSangrah #HindiDevotional #HindiBhajan #HindiBhajan


Published By: Ram Aaye Hain Ayodhya Ram Hindi Bhajan Lyrics
Category: Ram Ji Bhajan Hindi Lyrics
Label:Hindi Bhajan
Download : MP3 |
MP4 |
M4R


Songs Info :There are very beautiful bhajan Ram Aaye Hain Ayodhya Ram Hindi Bhajan Lyrics that will hear you become disturbed, many such Bhajans are available in Bhaktigaane, listen to yourself and also tell others and share them together to help us



Songs Info : बहुत ही सुन्दर भजन हैं सावन स्पेशल ! राम आये हैं अयोध्या राम हिंदी भजन लिरिक्स जिसे सुनकर आप भाव विभोर हो जायेंगे ऐसे ही बहुत सारे भजनो का संग्रह हैं भक्तिगाने में मिलेगा , खुद भी सुने और दुसरो को भी सुनाये और साथ में शेयर कर हमें सहयोग प्रदान करे

Ram roop liye maa kaushalya ki kokh mein aaye swam narayan
Shuru hui lo ramayan
Shuru hui lo ramayan
Punya Pratapi Raja Dasrath ke kul mein janme
Vaikunth utra ho jaise Dasrath ke angan mein
Mahadev Gauri se bole bhagwan aaye hain ayodhya
Diye jalao mangal gaao raam aaye hain ayodhya
Teeno lok ke Swami hai jo shree raam aaye hain ayodhya
Gyan liya aur vachan diya ki jub tak deh me pran rahega
Dharm rahega nyay rahega us palde mein raam rahega
Pa karke guru ka aaadesh
Ram chale hain mithila desh
Awadh se aaye Janakpur Ram dekho
Ho gaya hai janakpur ye dhaam dekho
Ek daras mein moh liya re
Ho gayi main to teri Siya re
Jaise Vishnu Laxmi ki jodi
Jaise Shiv ke saath mein ho Gauri
Waise hi main aaj se hoon tera
Waise hi tu aaj se hai meri
Bharhu maang na karhun deri
Bharhu maang na karhun deri
Phool bichaao tare sajao Siyaram aaye hain ayodhya
Diye jalao diye jalao mangal gaao
Ram aaye hain ayodhya
Ram aaye hain ayodhya
Shubh bela beet gayi kab tak mahlon mein palna tha
Manav roop me janme the to kanto pe bhi chalna tha
Leke nayi biyahi dulhan
saath me leke bhrata Laxman
Ram van ki oor chale
Prano se bhi pyari ayodhya chhor chale
Kaal jiske haath se haan haath se hi racha bana hai
Usko apni ungliyon pe ungliyon pe nacha raha hai
Kaal ye tune kya kiya
Kaal ye tune kya kiya
Maa tune kya maang liya
Pita ne hi vanvas diya
Janak nandani
Jeevan sangni ka chhal se haran kiya
Us hi chhan me Ravan ne tay apna maran kiya
Tay apna Maran kiya
Samudra ke seene pe chalke raam aaye lanka
Ravan ka jo ahankaar tha dhoo dhoo karke dhanka
Punya aur paap ke yudh ka parinam tha
Teeno lok me goonja jay jay jay jay jay jay Ram ke naam ka
Charno mein aake bole bhibhishan
Khatam hua vanvas aye bhagwan
Taar do humko banke rajan
Saup diya lo jane do humko
Lanka ab tumhri karmbhoomi
Kitne baras se raah takat hai
Humre liye humri janmbhoomi
Diye jalao mangal gaao raam aaye hain ayodhya
Lakhan siya hanuman ke sang bhagwan aaye hain ayodhya



Download-Button1-300x157

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *