Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi Baad Amrit Pilane Se Kya Fayda Nirgun Bhajan Lyrics Kumar Vishu

kabir ji
Mp3 Song/Lyrics Name : Kabhi Pyase Ko Paani Pilaya Nahin, Baad Amrit Pilane Se Kya Faayda Kabhi Girte Hue Ko Uthaya Nahi, Baad Aansoo Bahane Se Kya Faayada|
Singer : Kumar Vishu
Album Name : Nirgun Bhajans
Published Year : 2007
File Size : 7 Mb Time Duration : 9:55 Min





View In Hindi Lyrics

Kabhi Pyase Ko Paani Pilaya Nahin, Baad Amrit Pilane Se Kya Faayda,
Kabhi Girte Hue Ko Uthaya Nahi, Baad Aansoo Bahane Se Kya Faayada,
Kabhi Pyase Ko Paani Pilaya Nahi, Baad Amrit Pilane Se Kya Faayda,

Main To Mandir Gaya, Pooja Aarti Kee, Puja Karte Hue Ye Khayaal Aa Gaya,
Kabhi Maa Baap Ki Sewa Ki Hi Nahi, Sirf Pooja Ke Karne Se Kya Faayda,
Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi Baad Amrit Pilane Se Kya Faayda,

Main To Satsang Gaya Gurvaani Suni, Gurvaani Ko Sunkar Khayal Aa Gaya,
Janm Manav Ka Leke Daya Na Kari Phir Manav Kehlane Se Kya Faayda,
Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi Baad Amrit Pilane Se Kya Faayda

Maine Daan Kiya Maine Jap Tap Kiya, Daan Karte Hue Ye Khayal Aa Gaya,
Kabhi Bhookhe Ko Bhojan Khilaya Nahi, Daan Laakhon Ka Karne Se Kya Faayda,
Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi Baad Amrit Pilane Se Kya Faayda

Ganga Nahane Haridwar Kaashi Gaya, Ganga Nahate Hi Man Mein Khayal Aa Gaya,
Tan Ko Dhoya Magar Man Ko Dhoya Nahi Phir Ganga Nahane Se Kya Faayda,
Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi Baad Amrit Pilane Se Kya Faayda

Maine Ved Padhe, Maine Shaashtra Padhe, Shaastra Padhte Hue Ye Khayala Aa Gaya,
Maine Gyan Kisi Ko Baanta Nahin, Phir Gyani Kehlane Se Kya Faayda, Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi Baad Amrit Pilane Se Kya Faayda

Maa Pita Ke Hi Charnon Mein Chaaron Dhaam Hain, Aaja Aaja Yahi Mukti Ka Dhaam Hai, Pita Mata Ki Sewa Ki Hi Nahi, Phir Teerthon Mein Jaane Se Kya Faayda,
Kabhi Pyase Ko Paani Pilaya Nahin, Baad Amrit Pilane Se Kya Faayda,
Kabhi Girte Hue Ko Uthaya Nahi, Baad Aansoo Bahane Se Faayda


Download-Button1-300x157

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *