#BHAKTIGAANE #DeshBhaktiGeet
Lyrics Name:Jahan Daal Daal Par Sone Ki Chidiya
Singer Name:Sonu Nigam
Album Name :Desh Bhakti Geet
Published Year:2017
File Size:10MB Time Duration :07:10:00
Jahaan daal-daal par sone ki chidiyaa karati hai basera
Vo bhaarat desh hai meraa…
Gurur brahma gurur vishnu, gurur devo maheshwaraah
Guru sakshat parabrahmah, tatsmaye shri guruvey namah
Jahaan daal-daal par sone ki chidiyaa karati hai basera
Vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai mera
Jahaan satya, ahimsa aur dharam ka pag-pag lagata dera
Vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai mera
Ye dharati vo jahaan rishi muni, japate prabhu naam ki mala
Hari om, hari om, hari om, hari om
Jahaan har baalak ek mohan hai, aur radha har ek baala
Aur radha ek ek baala
Jahaan suraj sabase pehele aaker, daale apana phera
Vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai mera
Jaha ganga, yamuna, krishna aur kaaveri baheti jaaye
Jaha poorab, pashchim, uttar, dakshin ko amrit pilwaaye
Ye amrit pilwaaye, kahin ye to fal aur fool ugaye
kahin keshar aur bhithera
Vo bhaarat desh hai meraa…
Alabelon ki is dharati ke, tyohaar bhi hai albele,
Kahin deewali ki jagamag hai, holi ke kahin mele,
Holi ke kahin mele,
Jahaan raag rang aur hansi khushi kaa, chaaro aur hai ghera
Vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai mera
Jahaan aasamaan se baate karate, mandir aur shivalay
Kisi nagar mein kisi dwaar par, koi na tala daale
Koi na taalaa daale,
Aur prem ki bansi jahaan bajata, aaye shaam savera
Vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai mera
Jahaan daal-daal par sone ki chidiyaa karati hai basera
Vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai mera
Jahaan satya, ahimsa aur dharam ka pag-pag lagata dera
Vo bharat desh hai meraa, vo bharat desh hai mera