Jabse Bihari Ji Se Nazar
#BHAKTIGAANE #KrishnaSong #DevotionalSongs #NewDevotionalSong
Aese Nahi Hum Chaahne Wale
Jo Aaj Tumhe Aur Ko Chaahe
Fek De Aankh Nikal Ke Dono
Jo Aur Kisi Se Nazar Milaye
Laakh Mile Tumse Badkar
Tumhe Hi Chaahe Aur Tumhe Manaye
Jab Tak Tan Mein Praan Rahe
Tab Tak Neh Ka Nata Nibhaye
Jabse Bihari Ji Se Nazar Ladi Hai
Aesa Nasha Chha Gaya Hai
Jeene Ka Maja Aa Gaya Hai
Jabse Bihari Ji Se Nazar Ladi Hai
Aesa Nasha Chha Gaya Hai
Jeene Ka Maja Aa Gaya Hai
Ban Gayi Tere Naam Ki Jogan
Chhod Diya Jag Sara
Ab To Chain Mile Mohe Tabahi
Mile Jo Priyatam Pyara
Tujh Bin Ab To Lagta Nahi Dil
Dil Ko Tuhi Bhaa Gaya Hai
Bhaa Gaya Hai
Jeene Maja Aa Gaya Hai
Aa Gaya Hai
Jeene Ka Maja Aa Gaya Hai
Ye Aagni Tumhari Lagayi Hue Hai
Bina Apke Bujhayega Kaun
Pariwar Kutumb Mein Nata Bacha
Usme Hame Apnayega Kaun
Hey Krishna Daya Nidhi Ko Taj Ke
Dukhiyo Pe Daya Barsayega Kaun
Ab Priyatam Pyare Tumhare Bina
Iss Das Ko Gale Lagayega Kaun
Sahib Se Jo Ishq Hua To
Duniya Se Kya Lena
Jo Dault Humne Paali Hai
Daulat Aur Kahi Naa
Ab To Kisi Se Lagta Nahi Dil
Dil Ko Wahi Bhaa Gaya Hai
Jeene Ka Maja Aa Gaya Hai
Malik Ke Andekhe Ghar Ka
Kaun Pata Batlaye
Pandit Purav Bole Bol
Mulla Paschim Le Jaaye
Chhod Diya Dar Dar ka Bhatakna
Khud Mein Usse Paa Liya Hai
Jeene Ka Maja Aa Gaya Hai
Jabse Bihari Ji Se Nazar Ladi Hai
Aesa Nasha Chha Gaya Hai
Jeene Ka Maja Aa Gaya Hai