Itna To Karna Swami Krishna Bhajan Full Lyrics By Jaya Kishori Ji

#BHAKTIGAANE #KrishnaBhajan #LordkrishnaBhajan
Lyrics Name:Itna To Karna Swami
Singer Name:Jaya Kishori Ji
Album Name :Krishna Bhajan
Published Year:2017
File Size:12MB Time Duration :08:45:00







View In Hindi Lyrics

Itna to karna swami,
jab pran tan se nikle
Govind naam lekar,
phir praan tan se nikale

Shri Ganga ji ka tat ho,
Yamuna ka vanshivat ho
Mera Saanvara nikat ho,
jab praan tan se nikale

Itna to karnaa swaami,
jab pran tan se nikle

Pitaambari kasi ho,
chhavi man mein yah basi ho
Hothon pe kuchh hasi ho,
jab praan tan se nikale

Itnaa to karna svaami,
jab praan tan se nikle

Shri vrindavan ka sthal ho,
mere mukh mein tulasi dal ho
Vishnu charan ka jal ho
jab praan tan se nikale

Itana to karnaa svaami,
Jab praan tan sey nikle

Jab kanth praan aave,
koi rog na sataave
Yam daras dikhaave,
jab praan tan se nikale

Itana to karnaa swami,
Jab praan tan se nikale

Us vaqt jaldi aana,
nahin shyam bhool jaana
Raadha ko saath laana,
jab praan tan se nikale

Itna to karna swami,
jab pran tan se nikle

Sudhi hove naahi tan ki,
taiyaari ho gaman ki
Lakadi ho braj ke van ki,
jab praan tan se nikale

Itna to karnaa swaami,
jab pran tan se nikle

Ek bhakt ki hai arji,
khudagarj ki hai garaji
Aage tumhaari marjii,
jab praan tan se nikale

Itna to karna swami,
jab pran tan se nikle

Ye nek si araj hai,
maano to kyaa haraj hai
Kuchh aap ka pharaj hai,
jab praan tan se nikale

Itna to karna swami,
jab pran tan se nikle



Download-Button1-300x157



Pleas Like And Share This @ Your Facebook Wall We Need Your Support To Grown UP | For Supporting Just Do LIKE | SHARE | COMMENT ...


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *