Mp3/Lyrics Title Name : Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gun Graam Ki , Ye Ramayan Hai Punya Katha Shri Ram Ki
Taken From : Ramayan By ramanand Sagar
Singer Name : Ravindra jain
Published Year : 1991
Time Duration : 19.25 Min File Size:15 MB
View In Hindi Lyrics www . BhaktiGaane .in
Ramayan Ram Katha By Luv & Kush
om Shri Ganeshay riddhi siddhi sahitay namah
om satyam shivam sundram shivani sahitay namah
pitr maatr namah, pujya guruvar namah
raja gurujan praja sarve saadar namah
veena vadini sharde rakho hamara dhayn
samyak vaani shudh kar hamko karo pradan
sabko vinay pranaam kar sabse anumati maang
luv kush ne chedaa saras raam katha ka raag
Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gun Graam Ki
Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gun Graam Ki
Ye Ramayan Hai Punya Katha Shri Ram Ki
Ye Ramayan Hai Punya Katha Shri Ram Ki
Rambhadra Ke Sabhi Vanshdhar
Vachan Prayaan Dharam Dhurandhar
Kahe Unki Katha Ye Bhoomi Ayodhya Dhaam Ki
Yahi Janam Bhoomi Hai Prushotam Gun Ram Ki
Yahi Janam Bhoomi Hai Prushotam Gun Ram Ki
Ye Ramayan Hai Punya Katha Shri Ram Ki
Ye Ramayan Hai Punya Katha Shri Ram Ki
Chaitra Shukla Navmi Tithi Aaayi
Madhya Diwas Me Ram Ko Laayi
Bankar Kaushalya Ke Lala
Prakat Bhaye Hari Param Kripaala
Ram Ke Sang Jo Bhrata Aaaye
Lakhan, Bharat, Shatrugan Kahaye
Guru Vashisth Se Charo Bhai
AlapKaal Vidya Sab Paayi
MuniVar Vishvamitra Padhare
Maage Dhasrath Ke Maange Dhrig Taare
Bole Ram Lakhan Nidhiya Hai Hamare Kaam Ke
Hum Katha Sunaate Prushotam Gun Graam Ki
Hum Katha Sunaate Prushotam Gun Graam Ki
sab ke hirday adhir kar bharkar kash me teer
chal diye vishvamitra sang lakhan aur radhuveer
pratham hi ram tadika maari ki muni aashram ki rakhvali
din bhar baad marich ko maara dsat yojan kiye sdagar paara
vyathik ahilya ka kiya pad raj se kalyaan
pahuche prabhvar janakpur karke ganga snaan
siya ka bhavy swayamvar hain, siya ka bhavy swayamvar hain
sab ki drishti me naam ram ka sabse upar hain
siya ka bhavy swayamvar hain
janak raj ka kathin pran karan rahe sunaye
bhang kare jo shiv dhanush le vahi siy ko paaye
vishvamitr ka ingit paya sahaj raam ne dhanush uthaya
bhed kisi ko huaa na gyaat
kab shivdhanush ko toda ragunath
nikat vrksh ke aa gaye veli
siy jaymaal ram ur meli
sundar saswat abhinav jodi
jo upma di jaaye so thodi
kare dono dhumil kaanti koti ratikaam ki
ham katha sunate purushotam gun gram ki
Ye Ramayan Hai Punya Katha Siya Ram Ki
sab ko dubokar ram ke ras me, luv kush ne kiye jan man bus me
aage katha badate jaaye jo kuch ghataa sunate jaaye
kaise huyi vidhina ki drashti vakra safal huaa kaikayi ka vo chakra
raam lakhan sita ka van gaman, viyog me dasrath maran
chitrakut aur panchvati jaha jaha jo jo ghatna ghati
savistaar sab katha sunate lav kush ruke ayodya aake
gayavijay ka parv manaya raam ko avadsh naresh banaya
niyati kaal aur praja ne milkar aaisa jaal bichaya do avibhajy aatmao par samay vichobh ka aaya
avadh ke vaasi kaise aatyachari raam siya ke madhya rakhi sandeh ki ek chingaari
kalankit kar di nishkalank dehnaari
chintit siya aaye na koi aanch pati samman par
nirav rahe maharaj bhi sita ke van prasthan par
mamta mayi maao ke naate par bhi pala pad gaya
gurudev gurujan jaise sabke mukh par tala pad gaya
siy ko lakhan bitha ke rath me, chod aaye kaanto ke path me
gyaan chetna nagar vaasiyo ne jab sab kho daale
tab sahaay siya ke ek maharshi bane rakhwaale
valmiki ji mil gaye siy ko janak samaan putri vat vatsaly deh aashram me diya sthan
divya deep devi ne jalaye raam ke do sut siy ne dyahe
nange paao nadiya se bhar ke laati hain neer
neer se vishad ke nayana bhigati hian
lakdiya kaat ti hain dhan kut chant ti hain
vidhina ke baad sah sah muskaati hain
kartavaya bhavna ke jag ke do paato me vo bina prativaad kiye pisti hi jaati hain
aise me bhi putro ko sikhake sare sanskaar svavlambi swabhimani sabal banati hain
vrat upvaas poja anusthan karti hain pratipal naam bas raam ka hi leti hain
jinki taano ne kiya hrday vidhin ma ka unko bhi sada shubhkamna hi deti hian
devi pe jo aapda hain vidhi ki vidambana ,ya praja ki uthayoi hui aandhi ki reti hain
jagat ki naiya ki khivaiya ki hain rani par swayam ki naiya siya swayam hi jheti hain
bharmit sandehi bas tika tippadi hi kare kuch nahi sujhe unhe piche aur aage kaam
dhiobiyo ki drashti bas mail aur dhabbe dekhe kapda buna ho chahe kaisi hi dhage ka
swarnkaar swarn me sacchayi ki jachayi kare aagni me tapna hi dand hain abhage ka
hrdayo ke sthan pe pashan jaha rakhe vahaa kaispe prabhav ho siya ke dehtyage ka
mahal me pali badi mahal me byahi gayi mahal ka jivan parantu mila naam ka
aise samay me mahal tyag van chali samay tha jab dekh rekh vishraam ka
karke sangram ram lanka se chuday laaye par nahi tuta jivan sangram ka
tab vanvaas me nibhaya raam ji ka ab vanvaas kate diya huaa raam ka
ohh karm yogini parampunita maat hamari bhagvati sita
ohh ham lav kush raghukul ke taare pujya pita shri raam hamare
dhany ham in charno me aake ram nikat ramayan gaa ke
jay shri ram