Mp3 Song/Lyrics Name :Ganpati ki seva mangal mevaSeva se sab vighan tareTeen lok ke sakal devataDwar khade nij arja kare
Singer :Rakesh Sharma
Album Name :Shri Ganesh Aarti
Published Year :2009
File Size : 9MBTime Duration :06:16:00
Ganpati ki seva mangal meva
Seva se sab vighan tare
Teen lok ke sakal devata
Dwar khade nij arja kare
Ganpati ki seva mangal meva
Seva se sab vighan tare
Teen lok ke sakal devata
Dwar khade nij arja kare
Jai dukh harta gajanan jai shukh karta
Jayati karta dharta jag ke riddhi siddhi ke bharta
Vidhi sidhi dakshin baam viraje
Aru aanand so chavar dhare
Dhoop deep aur liye aarti bhakt khade jaikar kare
Gud ke modak bhog lagat hai aur mushak chadhe fire
Saumya roop lakh shree ganpati ko
Vighn bhage jaye door pare
Jai dukh harta gajanan jai shukh karta
Jayati karta dharta jag ke riddhi siddhi ke bharta
Bhadav masav sukl chaturthi
Din dophar bharpoor kare
Liyo janma ganpati prabhu ji ne
Parvti man anand bhare
Adbhut baage bahe indra ke
Dev baghu mil gaan karen
Shiv shankar ghar aanand upajo
Nar naari man mod bharen
Jai dukh harta gajanan jai shukh karta
Jayati karta dharta jag ke riddhi siddhi ke bharta
Aani vidhata baide aasan
Indra apsara nritya karen
Dekh roop bramha shishu ko
Vighna vinashak naam dharen
Ek dant gajvadan vinayak
Pranayan roop anup dharen
Pag khambha sa udar pushti hai
Dekh chandrama hasya karen
Jai dukh harta gajanan jai shukh karta
Jayati karta dharta jag ke riddhi siddhi ke bharta
Diyo shrap shree chandra dev ko
Kala heen tatkaal karen
Chaudah lok mein fire ganpati
Teen bhuvan mein rajya karen
Ganpati pujan nit karne se
Kaam sabhi nirvighn saren
Pooja kar jo gaaye aarti
Take sir yash kshatra firen
Jai dukh harta gajanan jai shukh karta
Jayati karta dharta jag ke riddhi siddhi ke bharta
Jo jan mangal ke karya se pahle
Shree ganesh ka dhyan dhren
Karaj unke sakal safal ho
Manokamna purna karen
Ganpati ki seva mangal meva
Seva se sab vighan tare
Teen lok ke sakal devata
Dwar khade nij arja kare
Jai dukh harta gajanan jai shukh karta
Jayati karta dharta jag ke riddhi siddhi ke bharta