Batao Kahan Milega Shyam Krishna Hindi Bhajan Lyrics
बताओ कहाँ मिलेगा श्याम कृष्णा हिंदी भजन लिरिक्स
Singer By: Sohini Mishra
Lyrics By : Traditional
Batao Kahan Milega Shyam Krishna Hindi Bhajan Lyrics Sung By : Sohini Mishra This version of song is written by Traditional Batao Kahan Milega Shyam Krishna Hindi Bhajan Lyrics Publisher : Nova Spiritual India It is written very beautifully, if you like this song, then share it with others, share it with your friends or Facebook or Whatsapp and give us support.
Batao Kahan Milega Shyam Krishna Hindi Bhajan Lyrics -HD Video
Songs Info : बहुत ही सुन्दर गाना हैं Batao Kahan Milega Shyam Krishna Hindi Bhajan Lyrics | बताओ कहाँ मिलेगा श्याम कृष्णा हिंदी भजन लिरिक्स जिसे लिखा हैं Traditional और गया हैं Sohini Mishra बहुत ही सुन्दर तरह से लिखा गया हैं अगर ये गाना आपको अच्छा लगा तो दुसरो के साथ भी शेयर करे अपने दोस्तों या Facebook या Whatsapp पर शेयर करे और हमें सहयोग प्रदान करे .
Batao Kahan Milega Shyam
Charan Paduka Lekar Sab Se
Poochh Rahe Ras Khan
Batao Kahan Milega Shyam
Woh Nanha Sa Balak Hai
Sanwali Si Soorat Hai
Baal Ghungharale Uske
Pehanta Mor Mukut Hai
Nayan Uske Kajrare
Haath Nanhe Se Pyare
Bande Paijaniya Pag Mein
Bade Dilakash Hain Nazare
Ghayal Kar Deti Hai Dil Ko
Usaki Ek Muskan
Batao Kahan Milega Shyam
Shri Krishna Ne Dekha
Ki Yeh Bhakt Mujhe
Nanhe Shyam Ke Roop Main Dhund Raha Hain
Woh Toh Mujhe Is Roop Mein Pehchan Bhi Nahi Payega
Tabhi Ve Ek Sadharan Vyakti Ka Roop Dharan Kar
Khan Ji Ke Paas Jaakar
Sari Baton Ko Sunne Ke Paschat Usse Khate Hain
Samajh Mein Aaya Jiska
Pata Tu Poochh Raha Hai
Woh Hai Banke Bihari
Jise Tu Dhundh Raha Hai
Kahin Woh Shyam Kahata
Kahin Woh Krishna Murari
Koi Sanwariya Kehta
Koi Govardhan Dhari
Naam Hazaro Hi Hain Uske
Kayi Jagah Mein Dhaam
Batao Kahan Milega Shyam
Uss Bhale Vyakti Ne Khan Ji Ko Vrindavan Jaane Ko Kaha
Phir Kya Tha Mano Musafir Ko Manzil Mil Gayi Ho
Bina Khaye Piye Lagatar Chalte Huye Khan Saab
Vrindavan Mein Krishna Ke Mandir Tak Ja Pahunchte Hain
Paagalo Jaise Haalat Hathon Main Joote Liye
Anya Samudaye Ke Hone Ke Karan
Mandir Ke Pujariyo Ne
Unhe Mandir Ke Andar Aane Se Mana Kar Diya
Nanhe Shyam Se Milne Ki Aas Main
Khan Saab Phir Ro Pade
Mujhe Na Roko Bhai
Meri Samjho Majhburi
Shyam Se Milne De Do
Bahut Hai Kaam Zaroori
Seedeeon Pe Mandir Ke
Daal Kar Apna Dera
Kabhi Toh Ghar Ke Bahar
Shyam Aaega Mera
Intezar Karte Karte Hi
Subah Se Ho Gayi Shyam
Batao Kahan Milega Shyam
Khan Saab Ke Mann Mein
Nanhe Shyam Se Milne Ki Aas Thi
Issi Vishwas Ke Sath
Ve Wahi Mandir Ke Seedhiyo Par
Raat Bhar Baithe Rahe
Jaag Kar Raat Bitayi
Bhor Hone Ko Aayi
Tabhi Uske Kaano Mein
Koi Aahat Si Aayi
Woh Aage Peechhe Dekhe
Woh Dekhe Daaye Baaye
Woh Chaaro Aur Hi Dekhe
Nazar Koi Na Aaye
Jhuki Nazar Toh Kadamo Mein Hi
Baitha Nanha Shyam
Batao Kahan Milega Shyam
Us Nanhe Shyam Ki Jaisi Chavi
Bhakt Khan Ji Ne Apne Hruday Mein Basai Thi
Thik Waise Hi Unhone Apne Samne Paaya
Khushi Se Gad Gad Hokar
God Mein Use Uthaya
Laga Kar Ke Seene Se
Bahut Hi Pyar Lutaya
Paduka Pehanane Ko
Paon Jaise Hi Uthaya
Nazara Aisa Dekha
Kaleja Mooh Ko Aaya
Kaante Chubh Chubh Kar Ke Ghayal
Hue The Nanhe Paon
Batao Kahan Milega Shyam
Khan Saab Ne Shyam Ke Ghayal Paon Ko Dekh
Ro Ro Kar Unse Kaha
Khabar Dete Toh Khud Hi
Tumhare Paas Main Aata
Na Pag Main Chhale Padte
Na Chubhata Koi Kaanta
Parantu Uss Mor Mukut Bansiwale Ne
Muskurate Hue Khan Ji Se Kaha
Chhavi Jaisi Tu Meri Basa Ke
Dil Mein Laaya
Usi Hi Roop Mein Tumse
Yahan Main Milne Aaya
Gokul Se Main Paidal Aaya
Tere Liye Brij Dham
Bhav Ke Bhuke Hain Bhagwan
Batao Kahan Milega Shyam
Iss Prakar Bhakt Aur Bhagwan Ka Milan
Shayad Hi Dekhne Ko Mile
Jaaki Rahi Bhavna Jaisi
Hari Muarat Dekhi Tan Taisi
Ab Kanhiya Kehte Hain
Hey Bhakt Aapne Mujhe Baal Roop Mein
Khali Paav Dekha Tha
Un Pathrile Rasto Par Tabhi Toh Main
Issi Awastha Main Aapse Milne Ke Liye
Gokul Se Vrundavan Paidal Daude
Aapke Hathon Se Charan Paduka Pehan
Mujhe Trilok Ki Sari Khushiyan Mil Gayi
Shyam Ki Baatein Sunke
Kavi Woh Hua Deewana
Kaha Mujhko Bhi Dedo
Apne Charanon Mein Thikana
Tu Maalik Hai Duniya Ka
Yeh Maine Jaan Liya Hai
Likhoonga Kavita Teri
Aaj Se Thaan Liya Hai
Shyam Prem Ras Barsa Sona
Khaan Bana Raskhan
Bhav Ke Bhuke Hain Bhagwan
Kaanto Par Chal Kar Ke Rakhte
Apne Bhagat Ka Maan
Bhav Ke Bhukhe Hain Bhagwan
Batao Kahan Milega Shyam