#BHAKTIGAANE #LatestKrishnaBhajan #BestKrishnaBhajan
Lyrics Name:Batao Kaha Milega Shyam
Singer Name:Saurav Madhukar
Album Name :Krishna Bhajan
Published Year:2017
File Size:21MB Time Duration :15:11:00
Batao Kahaa Milenge Shyam
Batao Kahaa Milenge Shyam
Batao Kahaa Milenge Shyam
Batao Kahaa Milenge Shyam
Charan Paduka Lekar sab se puch rahe raskhan, vo nanha sa baalak hain Sanvali si surat
Baal Ghungrale Uske Pahnta Mot Mukut hain, Nayan Uske Kajrare Hath nanhe se pyare
Baande Paijaniya pag me bade dilkash hain najare Ghayal kar deti hain dil ko uski ek muskaan
Batao kahaa milega shyam.
samjah me aaya Jiska pataa tu puch rahaa Vo hain baanke Bihari Jise tu dund Rahaa hain
kahi vo shyam kahata kahi vo murari, koi Saanvariya kahta Koi Govardhan dhari
Naam, Hajaro hi hain uske kai jagah me dhaam
Batao Kahaa Milega Shyam
Mujhe Na Roko Bhai Meri Samajho majburi, Shyam se milne dedo Bahut hain kaam jaruri
Sidiyo pe mandir ke daal kar apna dera, kabhi to ghar ke bahar shaym aayega mera
intejar karte karte hi subah se ho gai shyam
batao kahaa milge shyam
jaag kar raat bitaai bhor hone kop aayi, tabhi Uske kaano me koi Aahat si aayi
Vo aage piche dekhe Vo dekhe Daaye Baaye, Vo charo aor Hi dekhe Najar naa aaye
jhuki Najar to kadmo me hi baitha nanha Shyam
batao kaha milega shyam
Khusi se gadgad hoikar god me use Uthaya, lagaa kar sine se bahut hi pyaar lutaya
Paduka pahnaane ko paav jaise hi uthaya ,Najara dekh kaleja muh ko aaya
Kante Chubh Chubh kar ke ghayal huye the Nanhe Paav
batao Kahaa Milega Shyam
Kabar dete to khud Hi tumhare Paas main aata, na itne chale padte na chubhtyakoi kaanta
chavi jaisi tu meri basaa ke dil me laaya, usi hi rup me tumse uahaa main milne aaya
Gokul se paidal aaya tere liye brazjdham
Bhav ke Bhukhe hain bhagvaan
Shyam ki baate sunkar kavi huaa diwana, kahaa mijhko bhi dedo apne charno me thikana
Tu malik hain duniya ka yah maine jaan liya hain, Likhunga pad tere hi aaj se than liya hain
shyam prem ras barsa sonu khan bana raskhan
Bhav ke bhuge hain bhagwaan
kkanto par chalkar ke rakhte apne bhagat ka maan
bhav ke bhukhe hain bhagwaan