Bhole Shankar Ko Dulha Banao Na Shiv Hindi Bhajan Lyrics
भोले शंकर को दूल्हा बनाओ ना शिव हिंदी भजन लिरिक्स
Singer By: Ayushi Raj
Lyrics By : Pradeep Sahil
Bhole Shankar Ko Dulha Banao Na Shiv Hindi Bhajan Lyrics Sung By : Ayushi Raj This version of song is written by Pradeep Sahil Bhole Shankar Ko Dulha Banao Na Shiv Hindi Bhajan Lyrics Publisher : Yuki Music It is written very beautifully, if you like this song, then share it with others, share it with your friends or Facebook or Whatsapp and give us support.
Bhole Shankar Ko Dulha Banao Na Shiv Hindi Bhajan Lyrics -HD Video
Songs Info : बहुत ही सुन्दर गाना हैं Bhole Shankar Ko Dulha Banao Na Shiv Hindi Bhajan Lyrics | भोले शंकर को दूल्हा बनाओ ना शिव हिंदी भजन लिरिक्स जिसे लिखा हैं Pradeep Sahil और गया हैं Ayushi Raj बहुत ही सुन्दर तरह से लिखा गया हैं अगर ये गाना आपको अच्छा लगा तो दुसरो के साथ भी शेयर करे अपने दोस्तों या Facebook या Whatsapp पर शेयर करे और हमें सहयोग प्रदान करे .
Haldi Lagao Chandan Lagao Jal Se Snan Karao
Phoolo Ki Tum Mala Chanda Inke Mathe Sajao
Nandi Bulao Usko Sajao Uske Paav Mein Ghunghru Pahnao
Bhole Shankar Ko Dulha Banao Na
Ghar Gaura Ke Jaani Barat Hai
Ye Barat Hai Haa Ye Barat Hai
Dhol Dhapli Nagade Bajao Naa
Aaj Masti Lutati Ye Raat Hai
Bhole Shankar Ko Dulha Banao Na
Ghar Gaura Ke Jaani Barat Hai
Tumbhi Aao Usko Bulao
Aakar Thumka Lagao
Khoob Achhe Se Mere Bhole Ka Shringar Karo
Mere Bhole Pe Kya Jachega Vichar Karo
Sabse Pahle Inhe Achhe Se Nahlao
Bhasma Ko Tan Se Hatao Ragad Ragad Kar Ke
Khoob Chandan Lagake Chamkao Naa
Ghar Gaura Ke Jaani Barat Hai
Bhole Shankar Ko Dulha Banao Na
Ghar Gaura Ke Jaani Barat Hai
Tel Baalo Mein Lagao Koi Khushboo Wala
Aankh Mein Surma Lagao Jee Bareli Wala
Sherwani Pahnao Khas Mumbai Ki
Sar Pe Dastar Sajao Purani Delhi Ki
Aur Pero Mein Jooti Pahnao Naa
Ghar Gaura Ke Jaani Barat Hai
Bhole Shankar Ko Dulha Banao Na
Ghar Gaura Ke Jaani Barat Hai
Rahu Ketu Sang Mein Aaye
Kalva Jee Bhi Thumke Lagaye
Brahma Vishnu Ke Man Mein Khushi Chhayi Hai
Aaj Himlok Mein Bajne lagi Shehnai Hai
Barati Shiv Ke Bane Aaj Mushkurate Hai
Bhaang Ki Matki Bhar Bhar Pilao Naa
Ghar Gaura Ke Jaani Barat Hai
Bhole Shankar Ko Dulha Banao Na
Ghar Gaura Ke Jaani Barat Hai
Jobhi Dekhe Mere Bhole Ko Dekhta Hi Rahe
Aesa Dulha Kahi Dekha Naa Suna Bus Ye Kahe
Aur Achhe Se Inki Nazar Utari Jaaye
Noon Mirchi Ke Sath Rai Bhi Vaari Jaye
Koi Aake Sahil Ko Samjhao Naa
Ghar Gaura Ke Jaani Barat Hai
Bhole Shankar Ko Dulha Banao Na
Ghar Gaura Ke Jaani Barat Hai