Shyam Baba Ka Itihas Khatu Shyam Hindi Bhajan Lyrics
श्याम बाबा का इतिहास खाटू श्याम हिंदी भजन लिरिक्स
Singer By: Gopal Prajapati
Lyrics By : Gopal Prajapati
Shyam Baba Ka Itihas Khatu Shyam Hindi Bhajan Lyrics Sung By : Gopal Prajapati This version of song is written by Gopal Prajapati Shyam Baba Ka Itihas Khatu Shyam Hindi Bhajan Lyrics Publisher : Saawariya It is written very beautifully, if you like this song, then share it with others, share it with your friends or Facebook or Whatsapp and give us support.
Shyam Baba Ka Itihas Khatu Shyam Hindi Bhajan Lyrics -HD Video
Songs Info : बहुत ही सुन्दर गाना हैं Shyam Baba Ka Itihas Khatu Shyam Hindi Bhajan Lyrics | श्याम बाबा का इतिहास खाटू श्याम हिंदी भजन लिरिक्स जिसे लिखा हैं Gopal Prajapati और गया हैं Gopal Prajapati बहुत ही सुन्दर तरह से लिखा गया हैं अगर ये गाना आपको अच्छा लगा तो दुसरो के साथ भी शेयर करे अपने दोस्तों या Facebook या Whatsapp पर शेयर करे और हमें सहयोग प्रदान करे .
Aao Bhakto Tumhe Bataye Kaun Hai Sheesh Ka Daani
Khatu Wale Shyam Prabhu Ki Sunlo Amar Kahani
Jai Shree Shyam Jai Shree Shyam
Mahabharat Ke Kaal Ka Kissa Sara Hai
Pandav Kul Mein Janma Shyam Hamara Hai
Ye Ahelavati Ka Laala Hai
Bade Naaj Se Isko Pala Hai
Barbarik Naam Hai Inka Hai Bade Balshaali
Jai Shree Shyam Jai Shree Shyam
Mata Inki Dharam Ka Path Padati Hai
Deeno Par Daya Karna Sikhati Hai
Narad Ko Guru Bataya Hai
Bhole Ka Naam Shikhaya Hai
Bhole Ka Jap Karke Ho Gaya Teen Baan Dhaari
Jai Shree Shyam Jai Shree Shyam
Mahabharat Ke Yuddh Ki Hue Taiyari Hai
Yuddh Mein Main Bhi Jau Baat Vichari
Maata Ki Aagya Paakar Ke Charno Mein Sheesh Jhukar Karke
Haare Ka Tum Sath Nibhao Leele Ke Asvari
Jai Shree Shyam Jai Shree Shyam
Ek Brahman Ne Unka Rasta Rok Liya
Teen Baan Se Kya Karloge Tok Diya
Tum Kitni Shakti Rakhte Ho
Ek Baan Mein Kya Kar Sakte Ho
Ek Hi Baan Se Been Hi Daali Ped Ki Patti Saari
Jai Shree Shyam Jai Shree Shyam
Tabhi Shyam Ne Apna Roop Dikhaya Hai
Uss Balak Ko Sachcha Veer Bataya Hai
Tum Apne Sheesh Ka Daan Karo Ran Bhoomi Ka Samman Karo
Ek Pal Ki Bhi Kari Na Deri Gardan Deyi Utari
Jai Shree Shyam Jai Shree Shyam
Unche Tal Par Shyam Ka Sheesh Bithaya Hai
Yuddh Dekh Kar Yuddh Ka Haal Sikhaya Hai
Mohan Ka Chlata Chakkar Tha Aur Kaali Ke Hath Mein Khappar Tha
Shyam Naam Se Poojegi Tumko Duniya Saari
Jai Shree Shyam Jai Shree Shyam
Khatu Dhaam Jagat Mein Bada Hi Pyara Hai
Lakho Bhakto Ko Mere Shyam Ne Taara Hai
Jo Katha Ko Sunte Gaate Hai
Unhe Shyam Prabhu Mil Jaate Hai
Gopal Prajapati Likhkar Laya Sunlo Shyam Kahani
Jai Shree Shyam Jai Shree Shyam
Aao Bhakto Tumhe Bataye Kaun Hai Sheesh Ka Daani
Khatu Wale Shyam Prabhu Ki Sunlo Amar Kahani